Librería Samer Atenea
Kálamo Books
Librería Elías (Asturias)
Librería Kolima (Madrid)
Librería Proteo (Málaga)
Suryakaal Chakra: Nakshatra Progression Aur Samay Ka Sateek Ganit’Suryakaal Chakra’ jyotish anusandhan ke kshetr mein ek maulik aur vyavaharik shodh granth hai, jo samay-ganana ki ek nayi aur tarkik drishti prastut karta hai. Yeh pustak paramparik seemaon se hatkar poori tarah se Surya ke Nakshatra Progression ke siddhant par aadharit hai.Is paddhati ka mool aadhar yeh hai ki bhachakra ke sabhi 27 Nakshatra swatantra karyalay (Independent Offices) ke roop mein karya karte hain. Pratyek nakshatra ka apna samprabhu adhikar kshetr aur vishisht urja hai. Jab Surya ek nakshatra se doosre nakshatra mein gati (progression) karta hai, toh us nakshatra ke antarnihit karkatva (significations) seedhe sakriya hokar jeevan mein pratyaksh parinam dete hain.Mukhya Visheshatayein:27 Swatantra Karyalay: Nakshatron ko kisi rashi ya bhav ki seemaon mein baandhe bina ek swayatta shakti kendra ke roop mein samajhna.Sateek Samay Nirdharan: Surya ke progression ke aadhar par career mein badlav, aarthik utar-chadhav, swasthya aur jeevan ke nirnayak mod jaisi pramukh ghatnaon ke ghatit hone ka sookshma samay jaanna.Vaigyanik Va Shodh-Parak Drishtikon: Jatil manyataon ke sthan par tarkik, ganitiya aur pramanik niyamon par aadharit vishleshan.Yeh pustak un sabhi shodhartiyon aur jigyasu pathakon ke liye ek anivarya margdarshika hai, jo samay ke sookshma pravah aur nakshatron ki vastavik karyapranali ko gehrai se samajhna chahte hain.