Librería Samer Atenea
Kálamo Books
Librería Elías (Asturias)
Librería Kolima (Madrid)
Librería Proteo (Málaga)
Ham sabki kahaniyan ek jaisi hoti hain. Jab koi kirdar apni kahani bayan karta hai. Jab kisi kahani mein koi kirdar rota hai. Hum sab bhi uske sath rote hain. Shayad hum uski nahi apni kahani mein rote hain. Suratgarh Junction aisi hi ek kahani hai. Jisko bayan chand kirdar kar rahe hain. Par wo hum sabki kahani hai. Suratgarh Junction, dosti, sapno aur kadwi sachhaiyon ka ek aisa safar hai jo aapko sochne par majboor kar dega. Yeh kitab un doston ki kahani hai. Jo Suratgarh ke ek chhote se kamre mein rehkar badi ummeedon ke sath apni zindagi shuru karte hain. Is safar mein Jahan kuch log kamyabi ki seedhi chadhkar apne sapno ko sach kar lete hain. Wahi kuch log khwabon aur nakamiyon ke bojh tale aisa dam todte hain ki zindagi ko hi khatam kar lete hain. Yeh kahani hai un tamam armanon ki, jo ek chhote se junction par shuru hokar zindagi aur maut ke beech kahin kho jaate hain. Yeh kitab sirf kamyabi ki nahi balki un ankahi raaton, chay ki tapiryon par hone wali behso aur un sapno ki bhi hai jo dhumil ho gaye. Yeh kahani dikhati hai khwabon ke shahar Suratgarh mein dekhe gaye khwab kaise dheere-dheere ek kadwi haqeeqat mein tabdeel ho jaate hain. Yeh kahani hai un kamzor palon ki jahan pyaar aur zimmedari ke bojh ne kai zindagiyaan badal di. Is kahani mein sapne tootne ke dukh ke sath unhe pura karne ki ummeed, jazba aur jurrat sab maujood hai. Yeh aap sabki kahani hai aur main aap sabke hawale karta hoon. Sabhi pathakon padhne ke baad apni pratikriya zaroor dein.