Librería Samer Atenea
Kálamo Books
Librería Elías (Asturias)
Librería Kolima (Madrid)
Librería Proteo (Málaga)
2400 Eesa Poorv se 1950 Eesvi tak Bharatiya Itihas ki Pramukh Tithiyan - Ek Hi Pustak Mein, Kalakram ke Anusaar!Itihas ki tithiyan baar-baar yaad karne ke bawajood bhram hota hai? Itihas Tithikram (Sanshodhit evam Vistrit Sanskaran 2026) itihas ki mahatvapurn ghatnaon ko kramvaar samajhne, yaad rakhne aur pratiyogi parikshaon ki taiyari ke liye taiyar ki gayi upyogi pustak hai.KEY HIGHLIGHTS• Prachin Bharat se Aadhunik Bharat tak 700 se adhik mahatvapurn tithiyan.• Dakshin Bharat, kshetriya rajvansh, Vijayanagar Samrajya aur Maratha itihas sahit.• Mahatvapurn aitihasik ghatnaen aur pariksha ki drishti se upyogi tathya vishesh roop se chihnit.• Sabhi pramukh yuddhon aur rajaon ke shasan kaal ki kalakramanusaar jaankari.• Pratyek adhyay ki shuruaat mein samay-patti, jisse poore itihas mein sambandhit kaal ki sthiti samajhna aasaan ho.• Rochak tathya aur itihaskaron mein matbhed se sambandhit vishesh box.• Adhyayvaar saaransh, vanshavali chart, yaad rakhne ki tricks aur kramabaddhata abhyaas.• Uttar ki vyakhya sahit MCQ aur tvarit punaravritti ke liye upyogi talikaen.• Parishisht mein pramukh yuddh, Governor General, Viceroy, Congress adhiveshan, adhiniyam, videshi yaatri, smarak, granth aur 80 pramukh vyaktitva.UPSC, SSC, Rajya PCS, Railway, Shikshak Bharti aur anya pratiyogi parikshaon ke liye upyogi.Itihas ko keval ratein nahin-ghatnaon ka kram samjhein, tithiyon ko dohrayein aur apni taiyari ko adhik vyavasthit banaayein.