Librería Samer Atenea
Kálamo Books
Librería Elías (Asturias)
Librería Kolima (Madrid)
Librería Proteo (Málaga)
Das mein se nau haarte hain. Yeh kahani us ladke ki hai, jo chhah baar haara.Orchha ka Aditya. Nauvi mein 58 pratishat. Indore ke hostel mein 'Dasvi C', jahan se kisi ko koi ummeed nahin. Kota mein ek band phone, aur usi subah pita ki maut. Jaipur mein teen back. Delhi mein IPL ka satta. Aur phir share bazaar, jahan usne apni poori poonji ek baar nahin, chhah baar shunya kar di.Duniya ko lagta tha vah lakhon kama raha hai. Sach yah tha ki vah har Guruvar apni haar ginta tha.Phir Orchha ki ek printing dukaan, aur Gopal Bhaiya, jo laal gaay dekhkar put aur safed gaay dekhkar call lete hain. Ek ladki, jisne kaha tha 'Mera shahar tum ho', aur phir kisi aur shahar mein bas gayi. Aur ek patni, jiski ration wali copy mein vah sach likha tha jo koi kitaab nahin sikha paayi.Hostel ki shararatein, Bundeli thahake, Kota ke aansoo, adhoora prem aur bazaar ka kathor anushasan. 'Expiry' har us insaan ki kahani hai jo haara hai, aur phir bhi agli subah utha hai.Bazaar mein har saude ki expiry hoti hai. Himmat ki nahin.