Librería Samer Atenea
Kálamo Books
Librería Elías (Asturias)
Librería Kolima (Madrid)
Librería Proteo (Málaga)
Kaagaz par bikhre ashk the uske, dil mein daba ek toofaan tha.Meera ki bandishon se ghiri duniya mein, uska hunar bezubaan tha.Pritam ne uska lekhan apnaya, uski kalam ko apne ishq se mehkaya.Haan, lafz zaroor Meera ke the, par unhein pehchaan Pritam ne di.Wo nabz zaroor Meera ki thi, par use dhadkan Pritam ne di.Haan, kalam zaroor Meera ki thi, par use ek naya jahaan Pritam ne diya.Raqs zaroor Meera ke jazbaaton ka tha, par unhein aazaad aasmaan Pritam ne diya.Aisa shakhs tha Pritam, Meera ka aks tha Pritam.