Librería Samer Atenea
Kálamo Books
Librería Elías (Asturias)
Librería Kolima (Madrid)
Librería Proteo (Málaga)
Angrezi ke aksharon aur unki awaazon ke beech chhipe rochak sambandhon ko samajhne ki ek nayi yatra hai - Aksharpur Phonics - Bhag 2 : Long Sound ki Duniya.Is pustak mein bachche jaanenge ki swar apni badi awaaz kaise bolte hain, Open Syllable aur Magic e kis tarah shabdon ko badalte hain aur ai, ay, ee, ea, oa, oo jaisi Vowel Teams milkar alag-alag awaazein kaise banati hain. Iske saath hi Consonant + le, dabang r ka prabhav, swar a ki teesri awaaz aur aisi jodiyon ke baare mein bhi seekhenge jo dekhne mein teams lagti hain, lekin vaastav mein teams nahi hain.Yatra yahin samaapt nahi hoti. Bachche Homophones aur Heteronyms ke maadhyam se yah bhi samjhenge ki kabhi do alag-alag shabdon ka uchcharan ek jaisa hota hai, to kabhi ek hi shabd ke arth badalne par uska uchcharan bhi badal jaata hai.Pustak ke antim adhyaayon mein British English aur American English ke kuch pramukh antar bhi rochak dhang se prastut kiye gaye hain.Yah pustak un bachchon ke liye upyogi hai jo Angrezi padhna keval ratna nahi, balki samajhna chahte hain. Abhibhaavak apne bachchon ki seekhne ki yatra mein unka saath de sakte hain aur shikshak kaksha mein Phonics ko adhik rochak banaane ke liye iska upyog kar sakte hain.Aksharpur ki is doosri yatra mein aaiye, Angrezi ki badi awaazon ko pehchanein, unke rahasyon ko samjhein aur padhne ka aatmavishvaas badhaayein.Kyonki sahi dhvani ki samajh hi behtar padhne ki disha mein ek mahatvapurn kadam hai!