Librería Samer Atenea
Kálamo Books
Librería Elías (Asturias)
Librería Kolima (Madrid)
Librería Proteo (Málaga)
Raat saadhe das baje Parth ke phone par teen panktiyan aati hain: 'Suna hai bank AI la raha hai. Kuch shakhaon mein log kam honge.' Atharah saal se bank mein loan afsar Parth ki us raat neend ud jaati hai. Aur subah hote hi Banaras ke Sharma parivar mein sawalon ka silsila shuru hota hai.Yah bechaini sirf Parth ki nahin hai. ’AI ke Godfather’ kahe jaane wale Geoffrey Hinton ne 2023 mein Google chhod diya, taaki AI ke khatron par khulkar bol sakein.Gita padhne wale Dadaji, kahavaton wali Dadi, ghar ke niyam banane wali Malti, AI sikhane aur khud thokar khaane wala Aryan, aur sabse seedhe sawal poochhne wali Ananya. Har kisi ka AI se apna rishta hai, apna darr, apni uljhan. Kya machine sach mein sochti hai? Uske jawabon par kitna bharosa karein? Vah dost hai ya khatra? Aur jab machine hi rasta sujhane lage, to insaan ka vivek kahan jaaye?AI Gita inhin sawalon ki yatra hai. Gita ke atharah adhyayon ki tarah ismein bhi atharah adhyay hain, aur har adhyay AI se poochha gaya ek sawal. Kahani ke saath-saath Gita ke shlok rasta dikhate hain, aur har adhyay ke ant mein ek 'astra' milta hai, yaani ek aisa AI tool jise pathak usi din aazma sake.Takneek ki nahin, ghar ki bhasha mein likhi yah kitab bachche se buzurg tak har us pathak ke liye hai, jo AI se darna nahin, use samajhna chahta hai. Kyonki aaj ka Arjun hum mein se koi bhi ho sakta hai.